Police
Working process

Politics & Government

Dear sir

pichhle 12th jan ko gaya (bihar) ke cantt area mein ek apaharan ka ek shikshika ke ghar mein robery ki ghatna hui thi. lekin police ki laparwahi ke karan abhi tak is mamale mein kisi tarah ki safalta nain mili hai, police is mamle ko kafi halka bana kar lipapoti karne ki koshish kar rahi hai,

yah ghatna dainik jagran ke patna eddition mein prakashit bhi hui thi,

ghatna kuchh is prakar thi ki gyan bharti school mein karyarat ek teacher jab sham karib 6.20 par apane ghar se school mein study ke liye ja rahi thi tabhi 8-10 dakait arms ke bal par unhe apane kabje mein kar liya or unhe wapas unake ghar ka darwaja kholawa kar mobile, paise, handy cam loot liye isake alawa loteron ne house owner ke ghar mein jabaran ghuskar wohan se kai mobile or paise lott liye, bad mein jab house owner ne bhag kar halla machane ki koshish ki to use goli makar ghayal kar diya, is mamle mein police ki laparwahi yah hai ki lagbhag 10 din bitane ke bad bhi abhi tak koi surag nahin pasaki hai, yah ghatna gaya ke most secured place cantt area mein ghati hai, yah ghar bhi ek army man ka hai,

is tarah ki laparwahi se bihar ki law and order ki pole kholati hai or chief minister nitish kumar ke sushasan ke dawe ko khokhala sabit karti hain,

atah shri man se nivedan hai ki is mamle mein apane local reporter se sahi investigation karakar police ki laparwahi ko ujagar karne ki kripa ki jaye,

dhanyavad

braj bhushan mishra


Company: Police
Country: India
  <     >  

RELATED COMPLAINTS

None
Fraud Venkat Krishna or SRV Prabhaka

ITrust BPO Solutions
High class BPO only give special training programs

MUMBAI POLICE (BOMBAY POLICE)- ROTTEN POLICE
RAPE BY BOMBAY POLICE- DANGER TO PUBLIC.- TRIBUTE TO SUNIL ATMARAM MORE

CTS FRAUD PLACEMENT AGENT GETTING Rs.1500 Complaint, Chennai
CTS FRAUD PLACEMENT AGENT GETTING Rs.1500 Complaint, Chennai

I process Service INDIA Pvt Ltd
PF NOT RECEIVED

Police department, aurangabad rural, aurangabad
Police not taking action with in fair and just manner against the culprits

Car Insurance
Non settlement of claim

Barasat DIB Office
Most corrupt most probably