Inconsumercomplaints.com » Education & Science » Review / complaint: Indian Institute of Job-Oriented Traiing (IIJT JHANSI) - IIJT Jhansi Centre is Fraud, Please Help Us | News #323542

Indian Institute of Job-Oriented Traiing (IIJT JHANSI)
IIJT Jhansi Centre is Fraud, Please Help Us

Honourable Readers,

Mera naam Ritesh Srivastava he. Mene kareeb 2 saal pehle July 19 ko I.I.J.T Gwalior Institute me Admission liya tha. Yahan me C.B.A course karne aaya tha. I.I.J.T Gwalior Institute ne yeh course mujhe 1 saal me kareeb Rs.31000/- (Rupees Thirty OneThousand Approximate Only) rupaye me karvane ka vaada kiya tha. Yahi nahi 1 saal ke course ke baad 3 mahine ki Practical Training, Guareented Job (approx. Rs 6000/&-lt;Rupees Six Thousand Approx.), C.B.A. Certificate, Cambridge Certificate, aur Heromindmine Certificate bhi usi fees (Rupees Thirty OneThousand Approximate Only) me dilvane ka bhi vaada kiya tha.

Admission lene ke 6 mahine ke baad mene December 10 ko I.I.J.T Jhansi Institute me Transfer le liya. Yahan (I.I.J.T Jhansi Institute) bhi mujhse vahi sab vaade kiye gaye jo ki I.I.J.T Gwalior Institute ne kiye the.

I.I.J.T Jhansi Institute me mujhe shuru me to sai shiksha mili lekin do mahino me hi inke padhane ka dhang baddtar hota chala gaya. Na to hume time se books mili, na hi classes. Milti bhi kaise, koi bhi Teacher yaha zyada time tak nahi tikta tha. Kuchh teachers to 15 dino ke bhitar hi chale gaye. Kisi tarah humne 15 mahine poore kiye I.I.J.T Jhansi Institute me. Vaise in 15 mahino me humne kai baar I.I.J.T Jhansi Institute ko yahan (I.I.J.T Jhansi Institute) ki kamiyon ke baare me soochit (inform) kiya lekin koi sudhaar na hua, ulta hume hi maar khani padi. Humne inki (I.I.J.T Jhansi Institute) complain I.I.J.T Kolkata me bhi email kar ke ki lekin unhone bhi koi action nahi liya inke khilaaf (against). Is dauraan hum koi bhi kanooni kaaryavahi (Legal Action) na kar paane ko majboor the kyonki I.I.J.T Jhansi Institute ke Sanchalak (Head) Gauarv Garg aur ChandraPrakash ka kehna tha ki hum (I.I.J.T Jhansi Institute) Niyam aur Kanunanusar (According to Rules & Regulations) 15 mahino me course poorna (complete) karaa denge. Humare (Students) Abhibhavakon (Guardians) se bhi unhone yahi (15 mahino me course poorna (complete) karaa denge) vaada kiya tha. Saath hi 15 mahine baad Guareented Job (approx. Rs 6000/&-lt;Rupees Six Thousand Approx.), C.B.A. Certificate, Cambridge Certificate, aur Heromindmine Certificate dilvaane ka bhi vaada kiya tha.

15 mahine poore ho jaane ke baad bhi jab hum logon ko ye sab (Guareented Job (approx. Rs 6000/&-lt;Rupees Six Thousand Approx.), C.B.A. Certificate, Cambridge Certificate, aur Heromindmine Certificate) nahi mila to mene apne Abhibhavakon (Guardians) ko inse (Gauarv Garg aur ChandraPrakash) phir milwaya. Humare Abhibhavakon (Guardians) ke sawalon ke taala-matoli vaale javaab de kar in logon ne unhe har baar taal diya. Fir ek din hume malum padaa ki inke Centre Manager Mr. BhuvneshvarPati Tiwari, I.I.J.T Jhansi Institute se bhaag chuke he. Isiliye is baar humne majburan unke khilaf Police Karyavahi ki koshish ki aur unhe shaam ko giraftaar (arrest) karva diya. Lekin uchit kaaryavahi na hone ke karan ve usi raat me chhut gaye. Agle din Gwalior Chowki Police Inspector ke kai baar bulaane par bhi jab ve na aaye to Gwalior Chowki Police Inspector ne humari report na darj karte hue hume vaapis bhej diya. Hataash hokar hum unke paas gaye. Is baar humaare (and) beech ek Anubandh (Agreement) hua jisme unhone July 20 ko 90 dino me course poora karane ka vaada kiya. Humne is baar unki yeh baat bhi maan li.

Agle din jab hum class lene pahuche to Gaurav Garg ne hume class na dekar hume apne Cabin me bulaya. Vahan unhone humse dhamkaane vaale andaaz me apni 6crore ki haveli aur apne rupyon va taaqat ka raub dikhate hue kaha ki vo rupyon ki dum par Police se lekar Judge tak ko Kharid sakte he. Gaurav Garg ne yeh bhi kaha ki yah I.I.J.T Institute Poorv Vitt Mantri (Former Finance Minister) Mr. Jaswant Sinha ka he isiliye tum is I.I.J.T Institute ke khilaaf kuchh nahi kar paoge. Saath hi Gaurav garg ne ye bhi kaha ki agar humne unke khilaaf kaaryavahi band nahi ki to vo Humara Career Kharab Kar Denge.

Dare sehme hum students ne iski complain S.S.P. Office me ki. Kuchh dino baad humne ek aur complain 'Tehsil Divas' me ki lekin vahan se bhi koi uchit kaaryavahi nahi hui.

Isi beech 90 dino ke khatm hone se pehle hi Gauarv Garg aur ChandraPrakash hume inform kiye bina I.I.J.T Jhansi Institute band karke bhaag gaye. Vo log I.I.J.T Jhansi Institute ka aur apna saara samaan samet kar le gaye. Hum Students ne Gaurav Garg aur ChandraPrakash ki kaafi chhaanbin ki jiske baad hume inka naya address mil gaya. Jis din hume inka naya address mila tha uske ek-do din me Gaurav Garg ka mujhe phone jisme usne muje apne naye address pe milne ke liye bulaya aur vahaan par Gaurav Garg aur Anup Dubey ne mere sabhi doston (batchmates) ke saamne mujhe phir Dhamkaya aur kaaryavahi band karne par zor diya.

Humaari chinta lagataar badhti jaa rahi thi aur koi solution nahi samajh aa raha tha. Isi chinta aur darr ke beech humne ek antim (final) koshish ki, ki apni samasya (problem) lekar fir se S.S.P Office pahuch gaye. S.S.P Sir ne humari sunkar turant hi Gauarv Garg aur ChandraPrakash ke khilaf (against) karyavaahi ka aadesh (order) de diya.

Agle hi din Police ne meri madad se Gauarv Garg aur ChandraPrakash ko giraftaar (Arrest) kar unke khilaaf I.P.C. ki dhaara 406, 506 ke tahat muqadma darj kar liya.

Agle din F.I.R ki ek copy lekar hum students ne Gauarv Garg aur ChandraPrakash ke khilaf muqadma (Case) darj karaa diya. 'Lower Court' me unke aneko prayason ke baad bhi Gauarv Garg aur ChandraPrakash ki Zamaanat (Bail) ki Arzi khaarij ho gayi.

Iske baad Gauarv Garg aur ChandraPrakash ki taraf se 'Session Court' me Zamaanat (Bail) ki Arzi daakhil ki gayi jiske liye Gauarv Garg aur ChandraPrakash ki taraf se suboot (Evidence) ke taur par humaare (Students) Jhoote (Fake) CBA Certificate, humaari jhooti Attendence Sheet dikhai gayi aur uski dum par hum students ko 'Gairzimmedar aur Mandbuddhi' sabit (proove) karne ki koshish ki gayi.

Gauarv Garg aur ChandraPrakash ko Session Court se Zamaanat mil gayi aur ab Gauarv Garg aur ChandraPrakash jail se baahar aa gaye he.

Ab hume lag raha he ki yeh muqadma zyada dino tak nahi chal sakega kyonki vo Aarthik Roop (Financial Status) se kaafi mazboot he jabki hum Madhyam Vargiya (Middle Class) sadhaaran (Ordinary) students he. Hum sachche he lekin fir bhi shayad hum is muqadme (Case) ko zyada dino tak apne paksh (Side) me nahi rakh payenge. Unhe rupyon ki dum par Jhooth (Fake) ko Sach (True) banaane me zyada der nahi lagegi.

Isiliye me RITESH SRIVASTAVA, (20yrs, B.Com IInd year ka student), apko yeh spasht (Clear) roop se bataana chaahta hu ki me is muqadma me 'VAADI' hu aur na sirf mera Career balki mera Jeevan tak is muqadme (Case) me Daanv par lag chuka he. Aarthik Roop (Financial Status) se Asamarth hone va Darr ke kaaran mere kuchh Dost mera saath chhod chuke he aur bache hue Dost aage bhi mera saath chhod sakte he lekin Mujhe to har haal is muqadme ko aakhir tak ladna padega. Ho sakta he ki me bhi is muqadme ko zyada samay tak nahi lad paaun kyunki yahan (Session Court me) sabhi Vakeelon (Advocates) ki fees bahut zyada he jo ki hum 4 students ke budget se bhi baahar he doosri or Gauarv Garg aur ChandraPrakash apne rupyon ki dum par kisi bhi Vakeel ya Judge ko khareed sakte he aur is muqadme ko asaani si jeet sakte he, yeh baat o pehle hi saaf (clear) kar chuke the.

Agar me yah muqadma (Case) kisi bhi kaaran se haar jaata hu to ve gunahgaar (Criminals) log mujh par koi muqadma kar sakte he ya fir mujh par koi Jaanleva Hamlaa (Deadly Attack) karva sakte he. Agar aisa ho gaya to yeh sach ki bahut badi haar (Defeat) hogi aur iske baad koi bhi Yuva (Youth) shayad kabhi bhi kisi bhi Farzi Sanstha (Fraud Institute) ke khilaaf avaaz nahi utha payega. Aur yeh Institutes vaale hum jaise laakhon (Lakhs) Students ka yun hi 'Shoshan' karte rahenge. Meri haar HINDUSTAN ke har sachche Yuva (Youth) ki haar hogi jabki meri Jeet Prerna banegi Hindustan ke har Student ke liye.

Isiliye me apse Request karta hu ki is muqadme me humari sahayta keiye. Ya to aap hume is muqadme ko ladne me hume Aarthik (Financial) sahayta (help) dejiye ya phir aap khud dono pakshon (both sides) ko saamne bulwakar unko sune aur uchit faisla (suitable decision) karen. Kyunki agar yeh muqadma Vakeel ladte rahe to shayad yah kabhi khatm nahi hoga. Chunki yeh muqadma I.I.J.T Jhansi Institute ke Sanchalak (Head) (Gauarv Garg aur ChandraPrakash) aur humare (Students) beech ka he isiliye humari Guzaarish he ki aap ise khud sune kyoki jaisa ki aapko pata he ki Gauarv Garg aur ChandraPrakash is muqadme ko jeetne ke liye humaare har sach ko jhoot aur apne har jhoot ko sach banaane ki koshish karenge.

Gauarv Garg aur ChandraPrakash ke vakeel ne to yaha tak saabit (prove) karne ki koshish ki thi ki na to mene yaha fees jama (submit) ki aur na hi hum students September 7 ko kabhi 'Tehsil Divas' gaye the.

Humara daava bahut mazboot he lekin kahin aisa na ho ki Adaalat (Court) aur Vakeel ke beech me hum students apna sab kuchh (Career, Money etc.) ganvaa (loose) de. Kahin aisa bhi na ho ki unke jhoote sabooton (Evidences) ki list itni barh (increase) jaye ki humare sachche suboot bhi uske aage jhoote lagne lage.

Isliye please humaari help kejiye aur is 'PRARTHNA PATRA' ka javaab (reply) jaldi se jaldi Phone ya SMS se bhejen. Hum Gauarv Garg aur ChandraPrakash se 'Compromise' nahi karna chaahte. Isiliye ap mujhse jaldi hi sampark banaiye kahin aisa na ho ki jab apka contact ho tab tak kaafi der ho chuki ho.

(Is 'PRARTHNA PATRA' me agar kisi prakar ki bhul hui ho mujhse to me iske liye maafi maangta hu).

Dhanyavaad (Thanks).

Prarthi,

RITESH SRIVASTAVA

1563/3, NEW RAIGANJ,

SIPRI BAZAAR.

JHANSI 284003

Ph. 91 9598357957, 9795231660

Email: [email protected].

Related Students :

KHEMCHANDRA JHA

PRAMOD SONI

ABDUL VAASE KHALID FAROOQUI.


Company: Indian Institute of Job-Oriented Traiing (IIJT JHANSI)

Country: India   State: Uttar Pradesh   City: Jhansi

Category: Education & Science

0 comments

Information
Only registered users can leave comments.
Please Register on our website, it will take a few seconds.




Quick Registration via social networks:
Login with FacebookLogin with Google