Inconsumercomplaints.com » Miscellaneous » Review / complaint: Hero Honda scooter - Misbehaving and bad serviceces | News #259780

Hero Honda scooter
Misbehaving and bad serviceces

Maine ek hero honda scooter jiska no. DL-13S-4922, himgiri automobile se 16/10/09 ko kharida, scooter ki delivery ke time pe usme ek side miror aur footress nahi tha, jiska unhone mujhe jaldi hi de dene ka ashwashan diya, gaadi ke 1.5 mahine baad bhi mujhe scooter ka short saman nahi diya gaya, aur iske liye main us din se unke her diye time per phone karti aur mujhe fir us se agey ga time de diya jaata hai, baat yahain tak bhi rehti to tha, scooter kharidne se pehle mujhe bataya gaya ki ye 50/-p.km.ka avergae dega lekin scooter ka average sirf 30-35 ke bich tha, maine iski complaint ki to unhone mujhe scooter ki service kara lene ko kaha aur kaha ki service ke baad uska average thik ho jayega aue 50/-km ka average dega,

maine unke kahe anusar scooter 22/11/09 ko unke authorised service centre jhilmil industrial area mein de diya, scooter ke jon card mein maine main problem avergae ka kam hona hi batya tha, sevice centre mein mujhe kaha gaya ki service ke baad avergae thik ho jayegi.lekin jab maine service ke baad scooter liye usme mujhe 4 kamiyan aur kar di gai:-

1.Scooter vibrate kar raha tha.

2.Engine bahut sound kar raha tha

3.Scooter ka pick-up kam ho gaya tha

4.Pick-up lene per scooter bahut awaj kar raha tha

5.break jaam ho gaya tha.

6.scooter bar-bar band ho raha tha.

maine dusre din 23/11/09 ko service centre mein phone karke service supervisor mr.goldi ko scooter .ki compalints ke bare mein bataya, unhone mujhe scooter lane ko kaha sath maine mr.goldi se kaha ki main naukri pesha hu, aur mera scooter time lekar ek hi bar mein sahi kiya karein, kyonki main bar-bar office se chhutti lekar scooter sahi karane nahi aa sakti.

Mr. Goldi ne mujhe ashwashan diya ki main is bar scooter le aaun dubara, aisa nahi hoga,

maine complaint mein apn scooter 28/11/09 ko service mein fir se de diya aur jo compalints mujhe dikhi maine sabhi jo card pe note kara di.

Next day 29/1109 ko subeh jab main scooter lene gai to mujhe usme koi sudhar nazar nahi aaya, puche jane per mujhe kaha gaya ki engine aise hi sound karta hai, scooter aise vibrate karta hai.mere arguments karne per unhone mujhse abhadrata ki aur kaha ki main aise hi scooter lekar chali jaun.wo log mujhe customer satisfaction form pe sign karana chate the, maine sign karne se mana kiya to unhone muhje scooter dene mana kar diya ki jab tak main likh kar nahi dungi ki main scooter ki service se satisfied hu wo log mujhe gate pas nahi denge, baad dusre logo ke kehne aur mere police mein complaint ki dhamki dene per unhone mera gate pas banaya ayr main apne scooter lekar aa gai.

meri request hai ki himgiri automobiles ko uske kiye ki saza mile taki wo bhavishya mere ya kisi aur ke sath aisa na karein.


Company: Hero Honda scooter

Country: India

Category: Miscellaneous

0 comments

Information
Only registered users can leave comments.
Please Register on our website, it will take a few seconds.




Quick Registration via social networks:
Login with FacebookLogin with Google