Sir, Main Rakesh Thakur, Shubh Sampada, Nipaniya Indore ka rahwasi hu. Jaisa k sabhi jante he k indore me sewerage line dal rahi h. Hamare Area me bhi line dal chuki h. sewerage line walo ne sadak khod k line dal k useke upar wapas mitti dal k chhod diya h. line dale hua kareeb 1 month ho chuka h aur ab bariush b shuru ho gai h Par na panchayat wale is or dhyan de rahe he na koi aur. Ab waha itna jyada kichad ho raha h k badi gadi to thik paidal nikalne wale logo k pair b fas jate he.. Barish k pahle samay hote hue b panchayat walo ne patthar tak ni dalwaye aur ab hum rahwasiyo ko roj us kichad me girte padte nikalna pad raha he. Kripya kar k is or sambandhit vyakti ko nirdesh den.. Dhanywad.
0 comments