Inconsumercomplaints.com » TV & Radio » Review / complaint: DIS TV - About DIS TV careless | News #199088

DIS TV
About DIS TV careless

Sub- about care less of Dis tv.

Mahoday,

Mai Dinesh Kandpal (VC No. 01507099087). Namra nivedan se sikayat likhta hun ki maine dt. 15/03 ko DIS TV LT. Noida ke nam 200 Rs ka Money Order kiya tha. Dt. 15/03 se he TV ke pure chennal band ho gaye the. Dt 18/03 se lagatar mai inke customer care se bat karta raha. Inka jabab hota tha ki abhi tak harmare pas koi MO nahi pahucha. Aur aap apne post office se sampark karo. Dt 21/03 ko mai hamare post office Majkhali (Almora) pin 263652 gaya vahan unse meri baat hui unhone bataya ki 72 hrs. ke andar MO pahunch jata hai. Unko bhe mere karn paresani hui. Dt. 21/03 ko mujhe MO ke prapti rassid (receiving slip) mili. Uske bad maine inke customer care ko bataya inka kahna tha ki hamein aapka MO nahin mila. Fir mai apne PO gaya. Unhone prapti rassid ki santusti ki. Customer care se kahane par mujhe ise fax karne ko kaha gaya. FAX karne ke baad bhi inka kahna tha ki hum kuch nahin kar sakte.

Mahoday mai DIS TV se vigat mai bhi bahut paresan raha. Mahoday main village main rahta hun. Hamare yahan inke recharge kard (ITZ) nahi milte. Agency walo se recharge karne ko kahate hai to wo aapna kamisan bahut lete hai. DIS TV customer care ne he mujhe MO dwara recharge karne ko kaha tha. Issse pahle mai eak bar MO kar chukka huin. Tab MO time par mil gaya tha aur TV fir se activate ho gaya tha is bar MO milne ke baad bhi ye kahtain hai ki MO nahi mila.maine inke customer care adhikari se baat karne chahi to inka jawab hota tha ki aap apna Mob. No dain 15 minute main baat karwa denge. Par ye log mujhe talte rahe.

Mahoday inse eak aur sikayat hai ki TV per renewal date kuch aur hoti hai lakin channel pahle band ho jate hai. Isse hamein renewal date ka pata nain lag pata aur hamse 20 Rs adhik liya jata hai.

Mahoday Mere father cricket ke bahut sookin hai ise liye maine DIS TV apne wahan lagaya. aajkal cricket mai IPL match chal rahei hai aur mere father unhe nahi dekh pa raha hain. Isse unhe kafi paresani ho rahi hai.

Mahoday Is beach mera kafi bahumulya samya v phone calls, fax karne mai kafi RS kharch hua tab bhi. Mai TV dekhne se vanchit hun.

Mahoday Mere pass MO ki prapti v MO ki gaye rassid v fax sent (dt. 23/03 time 6:31 PM) ki OK report mojood hai. Mahoday se aasa hai ki mujhe uchit nyay diya jay.


Company: DIS TV

Country: India   State: Uttarakhand   City: Almora

Category: TV & Radio

0 comments

Information
Only registered users can leave comments.
Please Register on our website, it will take a few seconds.




Quick Registration via social networks:
Login with FacebookLogin with Google