Inconsumercomplaints.com » Miscellaneous » Review / complaint: HDFC Securities - WRONG INFORMATION | News #256958

HDFC Securities
WRONG INFORMATION

Dear Sir/madam,

jab bhi mai trade karta tha mujhe mere account me turant nazar ata tha ke total trade huwa hai ya nahi.

mai ne kuch dino pahle apne demat account se GODREJ CONSUMER ke 50 shares 248.50 ke rate se kharide the.aur 1 se 2 din baad mai ne unhe bech diya 265 ke rate par.

jis din mai ne inhe kharida mujhe mere account me clearly dikha raha tha ke trade puri tarha se ho gaya hai.aur mere account me 50 shares a gaye hai.

jab mai ne inhe sell kiya to us ke dusre din mujhe inform kiya gaya ke mai ne galat trade kiya hai,

mere account me sirf 41 shares hi aye the, aur mai ne 50 share bech diye.jis ke liye HDFC SECURITIES ne mujhe panelty bhi lagai pure 2450 ke karib.jab ke is me meri koi bhi galti nahi thi,

mujhe na is short trade ke bare me bataya gaya aur na hi charges ke bare me.

aur to aur jab mai ne HDFC SECURITIES ke call center me call kiya to unhon ne mujhe kaha tha ke jo balance {9} shares hai wo mujhe usi 248.50 ke rate par milenge.magar jab wo mere a/c me credit huwe to current market rate par huwe 267 per share.

plz mujhe mere paise wapas dila dijiye...

Thanks & regards

NASIR K MASURKAR


Company: HDFC Securities

Country: India

Category: Miscellaneous

0 comments

Information
Only registered users can leave comments.
Please Register on our website, it will take a few seconds.




Quick Registration via social networks:
Login with FacebookLogin with Google